University Home Page  
University Tarana Video  
University Tarana MP3(Downloadable)  
University Tarana Urdu (Text)  
University Tarana English(Text)  
 

 

 

ye meraa chaman hai meraa chaman, maiN apne chaman kaa bulbul huuN
sarshaar-e-nigaah-e-nargis huuN, paa-bastaa-e-gesuu-sumbul huuN

(chaman : garden; bulbul : nightingale; sarshaar : overflowing, soaked; nigaah : sight; nargis :flower, Narcissus; paa-bastaa : embedded; gesuu : tresses; sumbul : a plant of sweet odor)

ye meraa chaman hai meraa chaman, maiN apne chaman ka bulbul huuN

jo taaq-e-haram meN roshan hai, vo shamaa yahaaN bhii jaltii hai
is dasht ke goshe-goshe se, ek juu-e-hayaat ubaltii hai
ye dasht-e-junuuN diivaanoN kaa, ye bazm-e-vafaa parvaanoN kii
ye shahr-e-tarab ruumaanoN kaa, ye Khuld-e-bariiN armaanoN kii
fitrat ne sikhaii hai ham ko, uftaad yahaaN parvaaz yahaaN
gaaye haiN vafaa ke giit yahaaN, chheRaa hai junuuN kaa saaz yahaaN

(taaq-e-haram : vault in the sacred territory of Mecca; roshan : glowing; shamaa : flame; dasht : wilderness, desert; goshaa : corner; juu-e-hayaat : stream of life; junuuN : frenzy; bazm : gathering; vafaa : faithfulness; shahr-e-tarab : city of mirth; Khuld-e-bariiN : sublime paradise; armaan : hopes; fitrat : nature; uftaad : beginning of life; parvaaz : flight; saaz : song on an instrument)

ye meraa chaman hai meraa chaman, maiN apne chaman ka bulbul huuN

is bazm meN teGheN khenchiiN haiN, is bazm meN saGhar toRe haiN
is bazm meN aanKh bichaa'ii hai, is bazm meN dil tak joRe haiN
har shaam hai shaam-e-Misr yahaaN, har shab hai shab-e-Sheeraz yahaaN
hai saare jahaaN kaa soz yahaaN aur saare jahaaN kaa saaz yahaaN
zarraat kaa bosaa lene ko, sau baar jhukaa aakaash yahaaN
Khud aankh se ham ne dekhii hai, baatil kii shikast-e-faash yahaaN

(teGh : swords; saGhar : goblets; shaam-e-Misr : evenings of Egpyt; shab-e-Sheeraz : nights of Sheeraz, a famous city of Iran; soz : pain; zarraat : dust; bosaa : kiss; baatil : evil; shikast-e-faash: clear defeat)

ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hun

jo abr yahaaN se uThThega, vo saare jahaaN par barsegaa
har juu-e-ravaan par barsegaa, har koh-e-garaaN par barsegaa
har sard-o-saman par barsegaa, har dasht-o-daman par barsegaa
Khud apne chaman par barsegaa, GhairoN ke chaman par barsegaa
har shahr-e-tarab par garjegaa, har qasr-e-tarab par kaRkegaa

abr : cloud; juu-e-ravaan : flowing streams; koh-e-garaaN : big mountains; sard-o-saman : open and shelter; dasht-o-daman : wild and subdued; qasr-e-tarab : citadel of joy)

ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa
ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa
ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa
barsegaa, barsegaa, barsegaa..

Asrarul Haq Majaz